Mudde ki baat

With the ongoing upheaval in Mumbai and all of India this poem started off as with just these four stanzas. 


But then the government kept giving more content and the stanzas kept increasing. 

Yahan raaston se kachra nahi nikal raha hai,
Ye desh se illegal immigrants nikalne chale.

Yahan plastic nahi ban ho raha hai,
Ye protests ban karne chale.

Yahan mudde ki baat nahi ho rahi,
Ye mann ki baat kiye jaa rahe hain.

Yahan beef puri tarha se ban nahi ho raha hai,
Ye Kamra ki udaan ban karne chale.

Yahan corona ka ilaaj nahi mil raha,
Ye secularism ka antidote dhund laye.

Yahan cloud subscribe nahi ho raha,
Ye humse NRC subscribe karwane chale.

Yahan ghar nahi bass rahe,
Ye bastiyan jalane chale.

Yahan logon ki zindagi ‘give up’ hogayi,
Ye social media ‘give up’ karne chale.

Inhone 2020 mein tarakki dikhai thi,
Ab toh bas raajneeti ki 20-20 chal rahi hai.

Comments

Popular Posts