Khwahishein | The city of dreamers

Mumbai ki neev hi khwahishon par rakhi gayi thi, magar kisne soocha tha ki har koi apne sapno ka tokra uthakar yahan aayega? Log aaye aur Mumbai ne unhe apnaya, magar logon ki bheed mein, sapno ki unchai mein aur khwahishon ki barish mein, hum kab kaid hogaye humein samajh hi nahi aaya...

School cricket mein Sachin banne ki khwahish ne bachpan ko kaid kardiya,
Diwali mein ghar ko roshan karne ki khwahish ne ehsaas ko kaid kardiya,
Office mein promotion ki khwahish ne masumiyat ko kaid kardiya,
Kisi ka pyaar pane ki khwahish ne jazbaton ko kaid kardiya,
Aur khwahishon ke bhawar se nikalne ki khwahish ne zindagi ko kaid kardiya.

Phir bhi har subha iss kaid se nikalne ko jee chahta hai,
Dusre ki hasi mein khush hone ko jee chahta hai,
Chote chote palon ko mutui mein bandh karne ko jee chahta hai,
Aur yun hi har lamha ek nayi khwahish paida kar jaata hai.

Aksa Beach

Comments

Post a Comment

Popular Posts